Ghazal SMS Text Messages Incredible Collection

{SCA} The ghazal is a poetic form consisting of rhyming couplets and a refrain, with each line sharing the same meter.

This beautiful free collection comprises of ghazal text messages. Whether you want to express your love or make general statements about life, these SMS will surely come handy.

Share these ghazal text messages with your friends, family members and all those who are close to you and seem them smiling for a long time afterward.

1. Lekin Rehnay Do

Saarey waadon ko bhula sakta hun,
lekin rehne do..!
Main tumhein chor k ja sakta hun,
lekin rehne do..!
Tum jo har morr pe keh daitey ho khuda hafiz,
faisla mein bhi suna sakti hun,
lekin rehne do..!
Tum ne jo baat ki dil ko dukhaney wali,
us per main muskura b sakta hun,
lekin rehne do..!
Sharam aaye gi tumhein
warna tumharey waaday,
main tumhein yaad dila sakta hun,
lekin rehne do.

2. Yeh Na Thi Humari Kismat K Wisaal-e-Yaar Hota

ager or jeete rehte tu yehi intazar hota
kahoon kiss se main k kia hai …
shab-e-ghum bori bala hai
mujhe kia bora tha marna ..
ager aek baar hota
yeh na thi humari kismat k wisaal-e-yaa hota ..
koei mere dil se poche
tere teer neem kash ko
yeh khalish kahan se hoti ..
ju jiger k paar hota
tere wade per jiye hum..
tu yeh jaan jhot jana ..
k khoshi se mar na jate ager etbaar hota ..
yeh na thi humri kissmat k wisaal-e- yaar hota
yeh kahan ki dosti hai ..
k bane hain dost saqi ..
koi chehra saaz hota ..
tu yeh na ghumm saath hota

3. Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein

Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein
Zaroor Mujh ko us Ney Socha ho ga
Khuvabon aur Khyaalon Mein
Mera hi Chehra Tarasha Ho ga
Raah Chaltey jo us ko
Mera khyaal Aaya Ho ga

4. Thinking of You

You’re the first thing I think of
Each morning when I rise
You’re the last thing I think of
When I close my eyes
You’re in each thought I have
And every breath I take
My feelings are growing stronger
With every move you make
You’re an angel from above
who takes away my pain
My love for you is so strong
Sarah

5. Ghazal Of The Day

yuN akelay mein usay ehd-e-wafa yaad aaye
jaise banday ko museebat mein khuda yaad aaye
jaise bhaTkay huay panchhi ko nasheman apna
jaise apnoN k bichhaRnay pe dua yaad aaye
jaise Dhalti hui shaamoN ko swera koi
jaise pinjray mein parinday ko fiza yaad aaye
jaise booRhay ko khayälät mein bachpan apna
jaise bachchay ko sharärat pe saza yaad aaye
jaise ujRi hui basti ko zamäna apna
jaise tufaaN k Thehrnay pe diya yaad aaye

6. Aadat Nahi Hay

Sir jhukaany ki aadat nahi hay,
Aansoo bahaany ki aadat nhi h,
Hm kho gaye to pachtao gay bohat,
Hamaari Lout k Aany ki aadat nahi hay,
Terey dar pay Muhabbat k sawali ban jaaty,
Lekin Haath phelaany ki aadat nahi hay,
Teri yaaden aziz hen bohat,
Magar Waqt ganwaany ki aadat nahi hay,
Tum sakht Dil nikle kya gila kren hum,
Shikwa -e-dil lab py laany ki aadat nahi hay,
Bad’dua b kya kren HAQ men tumhaary?
Hamain to Dil b dukhaany ki aadat nahi hay

7. Jane Kiun Woh Sansoo Ki Dor Totne Nahi Deta

jane kiun woh sansoo ki dor totne nahi deta
bas qadam aur chalne kawasta dekar mujhe rokne nahi deta
bat kehta hai woh mujh se hans hans kar je lene ki
ajeeb shakhs hai mujh ko chain se rone nahi deta
ajj hosla deta hai mujhe chand sitaron ko cho lene ka
woh piar se chehra mujhe toot kar bikharne nahi deta
shayad janta hai woh bhi in ankhon main ansuon ka sailab hai
jane kiun phir bhi woh in ansoun ko girne nahi deta
mujh se kehta hai main to mar jaon ga tumhare bina
main zinda hon ab tak woh mujhe marne nahi deta

8. Ab Agar Aao To Jaane ke Liye Mat Aana

Ab Agar Aao To Jaane ke Liye Mat Aana
Sirf Ahsaan Jataane ke Liye Mat Mana
Maine Palkon Pe Tamannaen Saja Rakhi Hain
Dil Par Umeed ki 100 Rasmen Jala Rakhi Hain
Ye Hanseen Shamen Bujhaane ke Liye Mat Aana
Pyar ki Aag Main Zanjeer Pighal Sakti Hai
Chahne Walon ki Takdeer Badal Sakti Hai
Hoon Bebas Ye Batane ke Liye Mat Aana
Mujhse Milne ki Agar Tumko Nahi Chahat koi
Tum Sirf Rasmen Nibhane ke Liye Mat Aana

9. Masoom Mohabbat Ka

Masoom Mohabbat ka bas itna Fasana hay,
Kaghaz ki Hawaili hay aur Baarish ka Zamana hay…
Kya shart-e-mohabbat hay, kya shart-e-zamana hay,
Awaz bhi Zakhmi hay aur Geet bhi gaana hay…
Us paar utarnay ki Umeed bohat kam hay,
Kashti bhi Puraani hay aur Toofan ko bhi aana hay…
Samjhay ya na samjhay wo Andaaz Mohabbat kay,
Aik shakhs ko Aankhon say Shair sunana hay…
Bholi si Adaa koi phir ‘Ishq’ ki, zidd par hay,
Phir ‘Aag ka Darya’ hay aur ‘Doob’ kay jana hay.