Wasi Shah Poetry SMS Text Messages for Friends Great Collection

{SCA} Wasi Shah is an Urdu poet from Punjab, Pakistan. His poetry books include “Mujhe Sandal Ker do ” and his nazams include “Kash main tere Haseen Hathon ka Kangan Hota”.

wasi shah poetry sms text messages are usually send to dear ones when we go away from them or they go far away from us.

These best, new and emotional collection of wasi shah poetry SMS text messages are in english and urdu languages.

We are quite sure that you will love this post, So let’s get started and don’t forget to subscribe to our Newsletter to keep track on our next post in this series.

1. Ab Tu Mumkin He Nahe Us Se Mulaqat Wasi

Ab tu mumkin he nahe us se mulaqat wasi
Ab tu arooj pe puhanchi hai us ke zaat wasi

wohe waday hain aur rasmon ke zanjeer baqi
kab badlalty hain zamanay ke riwayaat wasi

Aik woh thay keh ek doosray ko sochtay they ham
Ab miltay nahe donon k khayalaat wasi

Mairy har subha ka aghaaz tairay naam se ho
tairy yadon main kat’ti mairy har ek raat wasi

Tum kahan aur mairay peyar ka meayaar kahan?
Wo kitnay saadgi se kar gea yeah baat wasi.

2. Hazaron Dukh Parain Sehna Muhabbat Mar Nahe Sakti

Hazaron dukh parain sehna Muhabbat mar nahe sakti,
hai tum se bus yahi kahna Muhabbat mar nahe sakti,

tayra har bar mairay khat ko perhna aur ro dayna,
maira har bar lekh dayna Muhabbat mar nahe sakti,

kiya tha hum ne campous ki nadi per aik haseen wada,
bhaly hum ko paray marna Muhabbat mar nahe sakti…

jahan mai jab talak panchi chahaktay urtay phirtay hain
hai jab tak phool ka sambhalna Muhabbat mar nahe sakti.

3. Ab To Mumkin Hi Nahi Un Se Mulaqat

Ab to mumkin hi nahi un se mulaqat “WASI”
Ab to urooj pe pahunchi hai us ki zaat “WASI”
Wohi wade hain aur rasmon ki zanjeeren baqi
Kab badalti hain zamane ki riwayat “WASI”
Ek wo din the k ek doosre ko sochte the hum
Ab milte nahi dono k khayalat “WASI”

4. Khuwab Aur Kushboo

Khuwab aur kushboo,
dono he azadah rooh hain,
dono he kaid nhi hoo sakte,
Mere Kuwab,
Tumari Kushbo…

5. Apni Dharkano Se Kuch Aisay Mera Naam Lo

Apni Dharkano Se Kuch Aisay Mera Naam Lo,
Ye Waqt Ruk Jaye Iss Lamhay Ko Thaam Lo,

Teri Aankhon Mein Jhalak Ha Asi Merey Pyar Ki,
Saahil Pe Jesey Dhalti Haseen Shaam Ho…

6. Jhonkni PaRti Ha Ye Jaan Azaabon Mai Hamein

jhonkni paRti ha ye jaan azaabon mai hamein,

kon kehta hai sahoolat se tumhein dekhtey hain,

jaaney kya likhtey ho kya sochtey rehtey ho wasi,

raat ko jab bhi kabhi chatt se tumhein dekhtey hain..

7. Falak Pa Chaand Ka Haalay Bhi Soog Karty Han

Falak pa chaand ka haalay bhi soog karty han,
jo tu nahi to ujalay bhi soog karty han,
nagar nagar ma wo bikhray han zulm ka manzar,
hamari rooh ka chalay bhi soog karty han

8. Tumhain Janan Ijazat Ha

Tumhain Janan Ijazat Ha
Ka in Tareek Rahon Par
Thakan Si Khud Mein Pao to
Andheron Se Kabhi Dil Dol Jae
Thak Si Jao To
Mere Jalte Hue Lamhon
Mere Bekangal Hathon Se ChOra K Apne Hathon Ko
Fiza Ki Naghmagi Se tum Nae Geeton Ko Chun Lena
Haseen Palkon Ki Nokon Par Nae Khawab Bun Lena…

9. Mari Aankhon Ma Ansoo Pighalta Raha

Mari aankhon ma ansoo pighalta raha, chaand jalta raha,

Tari yadoon ka sooraj niklta raha,chaand jalta raha,

Koi bistar pa shabnam lapatay howa khawab dakha kya,

Koi yadoon ma karwat badalta raha,chaand jalta raha,

Ma to ya janta hon k jis shab mujha chor kr tum gaay,

Aasmanoo sa shola niklta raha,chaand jalta raha